tum haqiqat nahin ho hasrat ho

7

तुम हक़ीक़त नहीं हो हसरत हो
जो मिले ख़्वाब में वो दौलत हो


मैं तुम्हारे ही दम से ज़िंदा हूँ
मर ही जाऊँ जो तुम से फ़ुर्सत हो


तुम हो ख़ुशबू के ख़्वाब की ख़ुशबू
और उतनी ही बे-मुरव्वत हो


तुम हो पहलू में पर क़रार नहीं
या’नी ऐसा है जैसे फ़ुर्क़त हो


तुम हो अंगड़ाई रंग-ओ-निकहत की
कैसे अंगड़ाई से शिकायत हो


किस तरह छोड़ दूँ तुम्हें जानाँ
तुम मिरी ज़िंदगी की आदत हो


किस लिए देखती हो आईना
तुम तो ख़ुद से भी ख़ूब-सूरत हो


दास्ताँ ख़त्म होने वाली है
तुम मिरी आख़री मोहब्बत हो



tum haqīqat nahīñ ho hasrat ho
jo mile ḳhvāb meñ vo daulat ho


maiñ tumhāre hī dam se zinda huuñ
mar hī jā.ūñ jo tum se fursat ho


tum ho ḳhushbū ke ḳhvāb kī ḳhushbū
aur utnī hī be-muravvat ho


tum ho pahlū meñ par qarār nahīñ
ya.anī aisā hai jaise furqat ho


tum ho añgḌā.ī rang-o-nik.hat kī
kaise añgḌā.ī se shikāyat ho


kis tarah chhoḌ duuñ tumheñ jānāñ
tum mirī zindagī kī aadat ho


kis liye dekhtī ho ā.īna
tum to ḳhud se bhī ḳhūb-sūrat ho


dāstāñ ḳhatm hone vaalī hai
tum mirī āḳhrī mohabbat ho


 

0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments