sina dahak raha ho to kya chup rahe koi

0

सीना दहक रहा हो तो क्या चुप रहे कोई
क्यूँ चीख़ चीख़ कर न गला छील ले कोई


साबित हुआ सुकून-ए-दिल-ओ-जाँ कहीं नहीं
रिश्तों में ढूँढता है तो ढूँडा करे कोई


तर्क-ए-तअल्लुक़ात कोई मसअला नहीं
ये तो वो रास्ता है कि बस चल पड़े कोई


दीवार जानता था जिसे मैं वो धूल थी
अब मुझ को ए’तिमाद की दावत न दे कोई


मैं ख़ुद ये चाहता हूँ कि हालात हों ख़राब
मेरे ख़िलाफ़ ज़हर उगलता फिरे कोई


ऐ शख़्स अब तो मुझ को सभी कुछ क़ुबूल है
ये भी क़ुबूल है कि तुझे छीन ले कोई


हाँ ठीक है मैं अपनी अना का मरीज़ हूँ
आख़िर मिरे मिज़ाज में क्यूँ दख़्ल दे कोई


इक शख़्स कर रहा है अभी तक वफ़ा का ज़िक्र
काश उस ज़बाँ-दराज़ का मुँह नोच ले कोई



siina dahak rahā ho to kyā chup rahe koī
kyuuñ chīḳh chīḳh kar na galā chhīl le koī


sābit huā sukūn-e-dil-o-jāñ kahīñ nahīñ
rishtoñ meñ DhūñDhtā hai to DhūñDā kare koī


tark-e-ta.alluqāt koī mas.ala nahīñ
ye to vo rāsta hai ki bas chal paḌe koī


dīvār jāntā thā jise maiñ vo dhuul thī
ab mujh ko e’timād kī dāvat na de koī


maiñ ḳhud ye chāhtā huuñ ki hālāt hoñ ḳharāb
mere ḳhilāf zahr ugaltā phire koī


ai shaḳhs ab to mujh ko sabhī kuchh qubūl hai
ye bhī qubūl hai ki tujhe chhīn le koī


haañ Thiik hai maiñ apnī anā kā marīz huuñ
āḳhir mire mizāj meñ kyuuñ daḳhl de koī


ik shaḳhs kar rahā hai abhī tak vafā kā zikr
kaash us zabāñ-darāz kā muñh noch le koī


 

0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments