ये ग़म क्या दिल की ‘आदत है नहीं तो
किसी से कुछ शिकायत है नहीं तो
किसी के बिन किसी की याद के बिन
जिए जाने की हिम्मत है नहीं तो
है वो इक ख़्वाब-ए-बे-ताबीर उस को
भुला देने की नीयत है नहीं तो
किसी सूरत भी दिल लगता नहीं हाँ
तो कुछ दिन से ये हालत है नहीं तो
तिरे इस हाल पर है सब को हैरत
तुझे भी इस पे हैरत है नहीं तो
हम-आहंगी नहीं दुनिया से तेरी
तुझे इस पर नदामत है नहीं तो
हुआ जो कुछ यही मक़्सूम था क्या
यही सारी हिकायत है नहीं तो
अज़िय्यत-नाक उम्मीदों से तुझ को
अमाँ पाने की हसरत है नहीं तो
तू रहता है ख़याल-ओ-ख़्वाब में गुम
तो इस की वज्ह फ़ुर्सत है नहीं तो
सबब जो इस जुदाई का बना है
वो मुझ से ख़ूबसूरत है नहीं तो
ye ġham kyā dil kī ‘ādat hai nahīñ to
kisī se kuchh shikāyat hai nahīñ to
kisī ke bin kisī kī yaad ke bin
jiye jaane kī himmat hai nahīñ to
hai vo ik ḳhvāb-e-be-ta.abīr us ko
bhulā dene kī nīyat hai nahīñ to
kisī sūrat bhī dil lagtā nahīñ haañ
to kuchh din se ye hālat hai nahīñ to
tire is haal par hai sab ko hairat
tujhe bhī is pe hairat hai nahīñ to
ham-āhangī nahīñ duniyā se terī
tujhe is par nadāmat hai nahīñ to
huā jo kuchh yahī maqsūm thā kyā
yahī saarī hikāyat hai nahīñ to
aziyyat-nāk ummīdoñ se tujh ko
amaañ paane kī hasrat hai nahīñ to
tū rahtā hai ḳhayāl-o-ḳhvāb meñ gum
to is kī vaj.h fursat hai nahīñ to
sabab jo is judā.ī kā banā hai
vo mujh se ḳhūb-sūrat hai nahīñ to