tujhse gile karun tujhe jaanan manaun main

0

तुझ से गिले करूँ तुझे जानाँ मनाऊँ मैं
इक बार अपने-आप में आऊँ तो आऊँ मैं


दिल से सितम की बे-सर-ओ-कारी हवा को है
वो गर्द उड़ रही है कि ख़ुद को गँवाऊँ मैं


वो नाम हूँ कि जिस पे नदामत भी अब नहीं
वो काम हैं कि अपनी जुदाई कमाऊँ मैं


क्यूँकर हो अपने ख़्वाब की आँखों में वापसी
किस तौर अपने दिल के ज़मानों में जाऊँ मैं


इक रंग सी कमान हो ख़ुश्बू सा एक तीर
मरहम सी वारदात हो और ज़ख़्म खाऊँ मैं


शिकवा सा इक दरीचा हो नश्शा सा इक सुकूत
हो शाम इक शराब सी और लड़खड़ाऊँ मैं


फिर उस गली से अपना गुज़र चाहता है दिल
अब उस गली को कौन सी बस्ती से लाऊँ मैं



tujh se gile karūñ tujhe jānāñ manā.ūñ maiñ
ik baar apne-āp meñ aa.uuñ to aa.uuñ maiñ


dil se sitam kī be-sar-o-kārī havā ko hai
vo gard uḌ rahī hai ki ḳhud ko gañvā.ūñ maiñ


vo naam huuñ ki jis pe nadāmat bhī ab nahīñ
vo kaam haiñ ki apnī judā.ī kamā.ūñ maiñ


kyūñkar ho apne ḳhvāb kī āñkhoñ meñ vāpsī
kis taur apne dil ke zamānoñ meñ jā.ūñ maiñ


ik rang sī kamān ho ḳhushbū sā ek tiir
marham sī vārdāt ho aur zaḳhm khā.ūñ maiñ


shikva sā ik darīcha ho nashsha sā ik sukūt
ho shaam ik sharāb sī aur laḌkhaḌā.ūñ maiñ


phir us galī se apnā guzar chāhtā hai dil
ab us galī ko kaun sī bastī se lā.ūñ maiñ


 

0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments