dil guman tha gumaniyan the hum

0

दिल गुमाँ था गुमानियाँ थे हम
हाँ मियाँ दासतानियाँ थे हम


हम सुने और सुनाए जाते थे
रात भर की कहानियाँ थे हम


जाने हम किस की बूद का थे सुबूत
जाने किस की निशानियाँ थे हम


छोड़ते क्यूँ न हम ज़मीं अपनी
आख़िरश आसमानियाँ थे हम


ज़र्रा भर भी न थी नुमूद अपनी
और फिर भी जहानियाँ थे हम


हम न थे एक आन के भी मगर
जावेदाँ जाविदानियाँ थे हम


रोज़ इक रन था तीर-ओ-तरकश बिन
थे कमीं और कमानियाँ थे हम


अर्ग़वानी था वो पियाला-ए-नाफ़
हम जो थे अर्ग़वानियाँ थे हम


नार-ए-पिस्तान थी वो क़त्ताला
और हवस-दरमियानियाँ थे हम


ना-गहाँ थी इक आन आन कि थी
हम जो थे नागहानियाँ थे हम



dil gumāñ thā gumāniyāñ the ham
haañ miyāñ dāstāniyāñ the ham


ham sune aur sunā.e jaate the
raat bhar kī kahāniyāñ the ham


jaane ham kis kī buud kā the subūt
jaane kis kī nishāniyāñ the ham


chhoḌte kyuuñ na ham zamīñ apnī
āḳhirash āsmāniyāñ the ham


zarra bhar bhī na thī numūd apnī
aur phir bhī jahāniyāñ the ham


ham na the ek aan ke bhī magar
jāvedāñ jāvidāniyāñ the ham


roz ik ran thā tīr-o-tarkash bin
the kamīñ aur kamāniyāñ the ham


arġhavānī thā vo piyāla-e-nāf
ham jo the urġhavāniyañ the ham


nār-e-pistān thī vo qattāla
aur havas-darmiyāniyāñ the ham


nā-gahāñ thī ik aan aan ki thī
ham jo the nāgahāniyāñ the ham


 

0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments