haal ye hai ki KHwahish-e-pursish-e-haal bhi nahin

0

हाल ये है कि ख़्वाहिश-ए-पुर्सिश-ए-हाल भी नहीं
उस का ख़याल भी नहीं अपना ख़याल भी नहीं


ऐ शजर-ए-हयात-ए-शौक़ ऐसी ख़िज़ाँ-रसीदगी
पोशिश-ए-बर्ग-ओ-गुल तो क्या जिस्म पे छाल भी नहीं


मुझ में वो शख़्स हो चुका जिस का कोई हिसाब था
सूद है क्या ज़ियाँ है क्या इस का सवाल भी नहीं


मस्त हैं अपने हाल में दिल-ज़दगान-ओ-दिलबराँ
सुल्ह-ओ-सलाम तो कुजा बहस-ओ-जिदाल भी नहीं


तू मिरा हौसला तो देख दाद तो दे कि अब मुझे
शौक़-ए-कमाल भी नहीं ख़ौफ़-ए-ज़वाल भी नहीं


ख़ेमा-गाह-ए-निगाह को लूट लिया गया है क्या
आज उफ़ुक़ के दोष पर गर्द की शाल भी नहीं


उफ़ ये फ़ज़ा-ए-एहतियात ता कहीं उड़ न जाएँ हम
बाद-ए-जुनूब भी नहीं बाद-ए-शिमाल भी नहीं


वजह-ए-म’आश-ए-बे-दिलाँ यास है अब मगर कहाँ
उस के वरूद का गुमाँ फ़र्ज़-ए-मुहाल भी नहीं


ग़ारत-ए-रोज़-ओ-शब तो देख वक़्त का ये ग़ज़ब तो देख
कल तो निढाल भी था मैं आज निढाल भी नहीं


मेरे ज़मान-ओ-ज़ात का है ये मु’आमला कि अब
सुब्ह-ए-फ़िराक़ भी नहीं शाम-ए-विसाल भी नहीं


पहले हमारे ज़ेहन में हुस्न की इक मिसाल थी
अब तो हमारे ज़ेहन में कोई मिसाल भी नहीं


मैं भी बहुत ‘अजीब हूँ इतना ‘अजीब हूँ कि बस
ख़ुद को तबाह कर लिया और मलाल भी नहीं



haal ye hai ki ḳhvāhish-e-pursish-e-hāl bhī nahīñ
us kā ḳhayāl bhī nahīñ apnā ḳhayāl bhī nahīñ


ai shajar-e-hayāt-e-shauq aisī ḳhizāñ-rasīdagī
poshish-e-barg-o-gul to kyā jism pe chhāl bhī nahīñ


mujh meñ vo shaḳhs ho chukā jis kā koī hisāb thā
suud hai kyā ziyāñ hai kyā is kā savāl bhī nahīñ


mast haiñ apne haal meñ dil-zadagān-o-dil-barāñ
sulh-o-salām to kujā bahs-o-jidāl bhī nahīñ


tū mirā hausla to dekh daad to de ki ab mujhe
shauq-e-kamāl bhī nahīñ ḳhauf-e-zavāl bhī nahīñ


ḳhema-gāh-e-nigāh ko luuT liyā gayā hai kyā
aaj ufuq ke dosh par gard kī shaal bhī nahīñ


uf ye fazā-e-ehtiyāt tā kahīñ uḌ na jaa.eñ ham
bād-e-junūb bhī nahīñ bād-e-shimāl bhī nahīñ


vaj.h-e-ma’āsh-e-be-dilāñ yaas hai ab magar kahāñ
us ke varūd kā gumāñ farz-e-muhāl bhī nahīñ


ġhārat-e-roz-o-shab to dekh vaqt kā ye ġhazab to dekh
kal to nidhāl bhī thā maiñ aaj nidhāl bhī nahīñ


mere zamān-o-zāt kā hai ye mu’āmla ki ab
sub.h-e-firāq bhī nahīñ shām-e-visāl bhī nahīñ


pahle hamāre zehn meñ husn kī ik misāl thī
ab to hamāre zehn meñ koī misāl bhī nahīñ


maiñ bhī bahut ‘ajīb huuñ itnā ‘ajīb huuñ ki bas
ḳhud ko tabāh kar liyā aur malāl bhī nahīñ


 

0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments